Nafs

Zakir Sudhmahadev

0 fans

Zakir Sudhmahadev


3:46
28 
#1

 Struggling with Nafs? Become a better singer in 30 days with these videos!

Khoon hai taari
Mere sar pe zimmedari
Heere ki karun baat
Ye samjhein Qissebazi
Akela hi aya tha
Akele hi jaunga
Par ye mange hissedaari
Meri Qalam aur likhawat
Qaid toh nahi
Khaak hai saari jo
Meine chhaan ke maari par
Mujhe mili na kahani
Jispe karun Qurbani
Duniya jo sari
Meri dhoondhe kamzori
Mein likhta phirun sach
Ye bolein awazari
Nafs krna Qaid mushkil hai par
Jo sohbat mein ho peer ki woh kheench de lakeer bhi
Woh ishq kare sacha
Jo rooh uske paas
Tere paas ho shareer hi
Paaband hoga Nafs aur
Kisi ka na khouf
Josh josh mein Jo
Kho baithe the hosh
Unhein mili badi saza
Chukaya bada mol
Khol khol ke jo batayein bade raaz
Unki sun na kabhi na baat
Qaid karein teri soch
Lagayeinge pura zor
Tujhe tod marod ke
Le ayeinge pura mout pe
Honge aise hadse
Toz hongi aisi batein
Gr nafs tera gulaam
Toh hai kis ka tujhpe zor
Ankhein jab Nafs ki
Pasandeeda cheez dekhe lein toh
Dil anjaam se andha hojata hai
Shaitaan ko gumrah krne duja koi shaitan na aya
Balke ssi ke nafs ne usse iblees tha banaya
Pehle nafs hai kya
Kya nafs hota pata hai
Kis gunah ki saza hai
Kis maraz ki dawa hai
Kya nafs ki raza hai
Namaaz krna qaza hai
Nafs ki sun na maza hai
Isse qaid krna jaffa hai
Burayi ka de hukm
Ammara pehla naam
Mann kare kamzor
Karaye galat kaam
Pohnchaye nuksan
Lawama dusra naam
Nishani gunah ke baad ki
Pachatawa nadamat
Sharmindgi apne aap pe
Mulhima teesra naam
Kabhi ban jayein halaat
Banda karne lage gunah
Murshid de de awaaz
Uska chehra aye samne
Aur gunah ko de taal
Mureed ko le bacha
Nafs qalab rooh
Dard safar kasoor
Hashar garaz fitoor
Raks hazam zaroor
Ishq wazn wajood
Sharam kasm guroor
Umar jism Mazloom
Paisa nasha sukoon
Allah walon ki sohbat mein
Kya milta hai
Allah walon ki sohbat mei
Allah milta hai
Tu nafs ki tamana puri kre
Aur nafs tujhe barbaad kre
Ye burayi ki tarf doud kare
Ghaseet ke wapis lana pade
Gusse ki halat mein hota hai darinda
Gunnah ke waqt ban jata hai bacha
Tere nafs ki qeemat jannat
Hai Jannat
Isse jannat se kam daam mein
Bechna bhi mat
Tere nafs ki qeemat jannat
Hai Jannat
Isse jannat se kam daam mein bechna bhi mat
Sohbat mein raha karo
Ye hote bhi ustaad hain
Chhupate tere raaz hain
In se hi toh saaz hai
Yehi lazawaal hai
Mout ko rkhna yaad
Nafs ka tamaam ilaaj hai
Mout ko rkhna yaad
Nafs ka tamaam ilaaj hai
Nafs ka tamaam ilaaj hai
Nafs ka tamaam ilaaj hai

 The easy, fast & fun way to learn how to sing: 30DaySinger.com

Written by: Zakir Sudhmahadev

Lyrics © DistroKid

Lyrics Licensed & Provided by LyricFind

Discuss the Nafs Lyrics with the community:

0 Comments

    Citation

    Use the citation below to add these lyrics to your bibliography:

    Style:MLAChicagoAPA

    "Nafs Lyrics." Lyrics.com. STANDS4 LLC, 2024. Web. 5 May 2024. <https://www.lyrics.com/lyric-lf/5770322/Zakir+Sudhmahadev/Nafs>.

    Missing lyrics by Zakir Sudhmahadev?

    Know any other songs by Zakir Sudhmahadev? Don't keep it to yourself!

    Watch the song video

    Nafs

    1
    0     0

    Browse Lyrics.com

    Quiz

    Are you a music master?

    »
    What is Camila Cabello's actual first name?
    A Maria
    B Karla
    C Camila
    D Rosa

    Free, no signup required:

    Add to Chrome

    Get instant explanation for any lyrics that hits you anywhere on the web!

    Free, no signup required:

    Add to Firefox

    Get instant explanation for any acronym or abbreviation that hits you anywhere on the web!

    Zakir Sudhmahadev tracks

    On Radio Right Now

    Loading...

    Powered by OnRad.io


    Think you know music? Test your MusicIQ here!